Sāre jahāñ se achchā hindostāñ hamārā
ham bulbuleñ haiñ us kī vuh gulsitāñ hamārā
ġhurbat meñ hoñ agar ham, rahtā hai dil vat̤an meñ
samjho vuhīñ hameñ bhī dil ho jahāñ hamārā
parbat vuh sab se ūñchā, hamsāyah āsmāñ kā
vuh santarī hamārā, vuh pāsbāñ hamārā
godī meñ kheltī haiñ us kī hazāroñ nadiyāñ
gulshan hai jin ke dam se rashk-e janāñ hamārā
ay āb-rūd-e gangā! vuh din haiñ yād tujh ko?
utarā tire kināre jab kāravāñ hamārā
mażhab nahīñ sikhātā āpas meñ bair rakhnā
hindī haiñ ham, vat̤an hai hindostāñ hamārā
yūnān-o-miṣr-o-rumā sab miṭ gaʾe jahāñ se
ab tak magar hai bāqī nām-o-nishāñ hamārā
kuchh bāt hai kih hastī miṭtī nahīñ hamārī
sadiyoñ rahā hai dushman daur-e zamāñ hamārā
iqbāl! koʾī maḥram apnā nahīñ jahāñ meñ
maʿlūm kyā kisī ko dard-e nihāñ hamārā!
1 comment:
Very good.I was hoping to find it somewhere and I was searching.You were the one to give it.Thanks.
Post a Comment